jal gaya aashiyan raha kya hai
jal gayā āshiyāñ rahā kyā hai
ab tamāshā sā ai sabā kyā hai
zulm karne ko vo hue paidā
mujh ko ġham khāne ke sivā kyā hai
bhuul baiThā hai dil har ik shai ko
juz tasavvur yahāñ bachā kyā hai
chhīnñā chāhtī hai yādoñ ko
is meñ duniyā bhalā tirā kyā hai
dil ne anjān ban ke pūchhā hai
'yāsmīñ' terā mudda.ā kyā hai
jal gaya aashiyan raha kya hai
ab tamasha sa ai saba kya hai
zulm karne ko wo hue paida
mujh ko gham khane ke siwa kya hai
bhul baiTha hai dil har ek shai ko
juz tasawwur yahan bacha kya hai
chhinna chahti hai yaadon ko
is mein duniya bhala tera kya hai
dil ne anjaan ban ke puchha hai
'yasmin' tera muddaa kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.