jal gayā ḳhaak huā kab kā vo parvāna-e-dil
ḳhatm hotā nahīñ ab tak magar afsāna-e-dil
hashr ke din pe uThā rakh ki baḌā saudā hai
ālam-e-husn se mumkin nahīñ bai.āna-e-dil
aap kī ik nigah-e-nāz use chhalkā detī
qābil-e-sharbat-e-dīdār thā paimāna-e-dil
ham jabhī samjhe the anjām ki jab fitrat ne
ḳhaak aur ḳhuun se tayyār kiyā ḳhāna-e-dil
jalne vaale se alag ho ga.e ham-mashrab-e-jāñ
de ke aag uTh ga.ī vo sohbat-e-rindāna-e-dil
tishna-e-jām-e-mohabbat se hamīñ vāqif haiñ
qadr kyā un ko jo toḌā kiye paimāna-e-dil
dohrī zanjīroñ meñ jakḌā hai muqaddar ne mujhe
us kā dīvāna hai dil aur maiñ dīvāna-e-dil
zabt kartā huuñ magar Dar hai ki shām-e-ġham meñ
kahīñ tañg aa ke na khul jaa.e sulah-ḳhāna-e-dil
ab to qatra nahīñ haañ vo bhī kabhī din the ki ham
mast ho jaate the ḳhud dekh ke mai-ḳhāna-e-dil
jā-e-ummīd-o-tamannā kā patā miltā hai
ab bhī dilkash hai mire vāste vīrāna-e-dil
hai to miTTī kā magar qudarat-e-ḳhāliq bhī hai
husn vaale na banā leñ koī paimāna-e-dil
dekh kar tafraqa-e-mehr-o-jafā ham samjhe
ek hī vaz.a kā bantā nahīñ kāshāna-e-dil
kā.enāt-e-do-jahāñ paas hai phir tañg nahīñ
aur bhī kuchh ho to ḳhālī hai abhī ḳhāna-e-dil
ruḳh-e-rañgīn-e-hasīñ ek chaman hai lekin
rauñdne ke liye ho sabza-e-begāna-e-dil
husn hai ḳhud haiñ zamāna hai vo kyuuñ ghabrā.eñ
aur yahāñ kyā hai magar haañ vahī vīrāna-e-dil
miT ke tasvīr-e-ḳharābāt hai ab to varna
ka.aba kahte the sab aisā thā sanam-ḳhāna-e-dil
kahiye qissa koī arbāb-e-vafā kā 'sāqib'
chhoḌiye zikr jafā kā ki hai begāna-e-dil
jal gaya KHak hua kab ka wo parwana-e-dil
KHatm hota nahin ab tak magar afsana-e-dil
hashr ke din pe uTha rakh ki baDa sauda hai
aalam-e-husn se mumkin nahin baiana-e-dil
aap ki ek nigah-e-naz use chhalka deti
qabil-e-sharbat-e-didar tha paimana-e-dil
hum jabhi samjhe the anjam ki jab fitrat ne
KHak aur KHun se tayyar kiya KHana-e-dil
jalne wale se alag ho gae ham-mashrab-e-jaan
de ke aag uTh gai wo sohbat-e-rindana-e-dil
tishna-e-jam-e-mohabbat se hamin waqif hain
qadr kya un ko jo toDa kiye paimana-e-dil
dohri zanjiron mein jakDa hai muqaddar ne mujhe
us ka diwana hai dil aur main diwana-e-dil
zabt karta hun magar Dar hai ki sham-e-gham mein
kahin tang aa ke na khul jae sulah-KHana-e-dil
ab to qatra nahin han wo bhi kabhi din the ki hum
mast ho jate the KHud dekh ke mai-KHana-e-dil
ja-e-ummid-o-tamanna ka pata milta hai
ab bhi dilkash hai mere waste virana-e-dil
hai to miTTi ka magar qudarat-e-KHaliq bhi hai
husn wale na bana len koi paimana-e-dil
dekh kar tafraqa-e-mehr-o-jafa hum samjhe
ek hi waza ka banta nahin kashana-e-dil
kaenat-e-do-jahan pas hai phir tang nahin
aur bhi kuchh ho to KHali hai abhi KHana-e-dil
ruKH-e-rangin-e-hasin ek chaman hai lekin
raundne ke liye ho sabza-e-begana-e-dil
husn hai KHud hain zamana hai wo kyun ghabraen
aur yahan kya hai magar han wahi virana-e-dil
miT ke taswir-e-KHarabaat hai ab to warna
kaba kahte the sab aisa tha sanam-KHana-e-dil
kahiye qissa koi arbab-e-wafa ka 'saqib'
chhoDiye zikr jafa ka ki hai begana-e-dil
Source :
Book : Deewan-e-Saqib (Pg. 219)
Author : Mirza Zakir Husain Qazlibaas Saqib Lucknowvi
Publication : Urdu Acadami U.P.
(1998)
Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.