jal gaya sara asasa pai pai jal gai
jal gayā saarā asāsa paa.ī paa.ī jal ga.ī
bach gayā merā hunar saarī kamā.ī jal ga.ī
valvala-angez taqrīroñ kā saudā ho gayā
ohda-o-mansab milā sho.ala-navā.ī jal ga.ī
shab kī bedārī ko jaane khā ga.ī kis kī nazar
phañs ga.e duniyā meñ saarī pārsā.ī jal ga.ī
hādsoñ kī nazr ho kar rah ga.ī āñkhoñ kī niiñd
jis se rishta thā thakan kā vo chaTā.ī jal ga.ī
jo ba-andāz-e-ḳhudā sab kī zabāñ kartā thā band
sho.ala-e-tanqīd se us kī ḳhudā.ī jal ga.ī
bach ga.e afrād ghar ke ye ḳhushī to hai magar
is kā ġham hai maañ barābar būḌhī daa.ī jal ga.ī
ham ne 'ahsan' dil meñ kyā kyā soch rakkhā thā magar
ātish-e-ġhurbat meñ bachchoñ kī paḌhā.ī jal ga.ī
jal gaya sara asasa pai pai jal gai
bach gaya mera hunar sari kamai jal gai
walwala-angez taqriron ka sauda ho gaya
ohda-o-mansab mila shoala-nawai jal gai
shab ki bedari ko jaane kha gai kis ki nazar
phans gae duniya mein sari parsai jal gai
hadson ki nazr ho kar rah gai aankhon ki nind
jis se rishta tha thakan ka wo chaTai jal gai
jo ba-andaz-e-KHuda sab ki zaban karta tha band
shoala-e-tanqid se us ki KHudai jal gai
bach gae afrad ghar ke ye KHushi to hai magar
is ka gham hai man barabar buDhi dai jal gai
hum ne 'ahsan' dil mein kya kya soch rakkha tha magar
aatish-e-ghurbat mein bachchon ki paDhai jal gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.