jal kar bujhte lawe bah kar aaKHir patthar ho jate hain
jal kar bujhte laave bah kar āḳhir patthar ho jaate haiñ
nadiyoñ ko Thukrāne vaale sāhil banjar ho jaate haiñ
nathunī jhumke chūḌī kardhan bichhue jhāñjhar ho jaate haiñ
ik laḌkī ke saare sukh-dukh us ke zevar ho jaate haiñ
rasm rivāyat dīn-dharm īmān bharose vaale hī kyoñ
ishq meñ jiine marne vaale bhī paiġhambar ho jaate haiñ
apnā aap bayāñ karne ke sau ma.aqūl tarīqoñ meñ se
ḳhāmoshī ko chunñe vaale umda shā.ir ho jaate haiñ
but ke aage dhyān lagā.e baiThe rahte haiñ dīvāne
ishq nibhāte rahne vaale dil pūjā-ghar ho jaate haiñ
aap hamāre saath nahīñ rah sakte ho gar aisā hai to
aap hamāre bhītar rah leñ aur ham bāhar ho jaate haiñ
jal kar bujhte lawe bah kar aaKHir patthar ho jate hain
nadiyon ko Thukrane wale sahil banjar ho jate hain
nathuni jhumke chuDi kardhan bichhue jhanjhar ho jate hain
ek laDki ke sare sukh-dukh us ke zewar ho jate hain
rasm riwayat din-dharm iman bharose wale hi kyon
ishq mein jine marne wale bhi paighambar ho jate hain
apna aap bayan karne ke sau maqul tariqon mein se
KHamoshi ko chunne wale umda shair ho jate hain
but ke aage dhyan lagae baiThe rahte hain diwane
ishq nibhate rahne wale dil puja-ghar ho jate hain
aap hamare sath nahin rah sakte ho gar aisa hai to
aap hamare bhitar rah len aur hum bahar ho jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.