jal ke rakh hone ki koshishen nahin hotin
jal ke raakh hone kī koshisheñ nahīñ hotīñ
der-pā bahut dil kī ḳhvāhisheñ nahīñ hotīñ
ḳhud-ba-ḳhud hī khulte haiñ dil meñ phuul ḳhushiyoñ ke
dil ko shaad rakhne kī kāvisheñ nahīñ hotīñ
dost bhī safoñ meñ haiñ aur apne dushman bhī
kāmyāb phir kaise sāzisheñ nahīñ hotīñ
taḳht-o-tāj māñge se kab kisī ko miltā hai
dil kī bādshāhī meñ baḳhshisheñ nahīñ hotīñ
ek justujū dil ko muztarib sī rakhtī hai
be-sabab to qismat kī gardisheñ nahīñ hotīñ
haal apnā aa ke ḳhud vo hamīñ ko batlā.eñ
ham se un kī jā ke to pursisheñ nahīñ hotīñ
mo.ajizoñ pe zinda haiñ aur duā.eñ karte haiñ
hijratoñ ke mausam meñ bārisheñ nahīñ hotīñ
jal ke rakh hone ki koshishen nahin hotin
der-pa bahut dil ki KHwahishen nahin hotin
KHud-ba-KHud hi khulte hain dil mein phul KHushiyon ke
dil ko shad rakhne ki kawishen nahin hotin
dost bhi safon mein hain aur apne dushman bhi
kaamyab phir kaise sazishen nahin hotin
taKHt-o-taj mange se kab kisi ko milta hai
dil ki baadshahi mein baKHshishen nahin hotin
ek justuju dil ko muztarib si rakhti hai
be-sabab to qismat ki gardishen nahin hotin
haal apna aa ke KHud wo hamin ko batlaen
hum se un ki ja ke to pursishen nahin hotin
moajizon pe zinda hain aur duaen karte hain
hijraton ke mausam mein barishen nahin hotin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.