jal raha hai ek diya aankhon mein aadhi raat ka
jal rahā hai ik diyā āñkhoñ meñ aadhī raat kā
maiñ amānat-dār huuñ ab tak tirī sauġhāt kā
umr guzrī mausam-e-girya nahīñ Thahrā kahīñ
qarz ik baaqī rahā mujh pe kisī barsāt kā
duur hote jā rahe the sāhiloñ par do charāġh
bādbāñ ne rakh liyā thā aks bhī ik baat kā
dil meñ aur āñkhoñ meñ tujh se chhūT jaane kā malāl
tazkira hoñToñ pe lekin dūsre hālāt kā
jāgte sote meñ terī yaad ke pahlū bahut
aur har pahlū hai raushan aise imkānāt kā
ham bhī kuchh majbūriyoñ kī aaḌ meñ milte rahe
paas kuchh us ne bhī rakkhā mere ehsāsāt kā
jal raha hai ek diya aankhon mein aadhi raat ka
main amanat-dar hun ab tak teri saughat ka
umr guzri mausam-e-girya nahin Thahra kahin
qarz ek baqi raha mujh pe kisi barsat ka
dur hote ja rahe the sahilon par do charagh
baadban ne rakh liya tha aks bhi ek baat ka
dil mein aur aankhon mein tujh se chhuT jaane ka malal
tazkira honTon pe lekin dusre haalat ka
jagte sote mein teri yaad ke pahlu bahut
aur har pahlu hai raushan aise imkanat ka
hum bhi kuchh majburiyon ki aaD mein milte rahe
pas kuchh us ne bhi rakkha mere ehsasat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.