jal rahi hai ek ThanDi sham aatish-dan mein
jal rahī hai ek ThanDī shaam ātish-dān meñ
aur namī phailī huī hai dil ke registān meñ
aañkh mīche chal rahā huuñ pyaas kī āvāz par
bhar gayā hai ret koī dīda-e-hairān meñ
ghul rahā hai dhīre dhīre zahr mere ḳhuun meñ
aa rahī hai rafta rafta jaan merī jaan meñ
dil meñ rukte hī nahīñ haiñ ab tamannāoñ ke aks
paañv paḌte hī nahīñ haiñ vādī-e-imkān meñ
maiñ zamīñ kā giit likhne jā rahā huuñ dosto
āsmāñ utrā huā hai aaj mere dhyān meñ
mujh ko aġhvā kar liyā hai mere ḳhvāboñ ne 'nabīl'
aur mirī āñkheñ unheñ matlūb haiñ tāvān meñ
jal rahi hai ek ThanDi sham aatish-dan mein
aur nami phaili hui hai dil ke registan mein
aankh miche chal raha hun pyas ki aawaz par
bhar gaya hai ret koi dida-e-hairan mein
ghul raha hai dhire dhire zahr mere KHun mein
aa rahi hai rafta rafta jaan meri jaan mein
dil mein rukte hi nahin hain ab tamannaon ke aks
panw paDte hi nahin hain wadi-e-imkan mein
main zamin ka git likhne ja raha hun dosto
aasman utra hua hai aaj mere dhyan mein
mujh ko aghwa kar liya hai mere KHwabon ne 'nabil'
aur meri aankhen unhen matlub hain tawan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.