jala diya hai ki isne bujha diya hai mujhe
jalā diyā hai ki is ne bujhā diyā hai mujhe
pa dil kī aag ne kandan banā diyā hai mujhe
tirī talab kī atā hai ki jis ne misl-e-charāġh
havā-e-dahr meñ jalnā sikhā diyā hai mujhe
maiñ sab se duur faqat apne aap meñ gum thā
kisī ke qurb ne sab se milā diyā hai mujhe
maiñ ek zarra-e-nāchīz kā.enāt meñ thā
ye kā.enāt sā kis ne banā diyā hai mujhe
so ab maiñ ohda-e-duniyā se kyā ġharaz rakhūñ
kisī ne mansab-e-dil par biThā diyā hai mujhe
tamām umr jo rakkhegā ziist ko raushan
tirī nazar ne vo manzar dikhā diyā hai mujhe
maiñ ek dasht thā ḳhud apne hī sarāb meñ gum
bas ek mauj ne dariyā banā diyā hai mujhe
jala diya hai ki is ne bujha diya hai mujhe
pa dil ki aag ne kandan bana diya hai mujhe
teri talab ki ata hai ki jis ne misl-e-charagh
hawa-e-dahr mein jalna sikha diya hai mujhe
main sab se dur faqat apne aap mein gum tha
kisi ke qurb ne sab se mila diya hai mujhe
main ek zarra-e-nachiz kaenat mein tha
ye kaenat sa kis ne bana diya hai mujhe
so ab main ohda-e-duniya se kya gharaz rakhun
kisi ne mansab-e-dil par biTha diya hai mujhe
tamam umr jo rakkhega zist ko raushan
teri nazar ne wo manzar dikha diya hai mujhe
main ek dasht tha KHud apne hi sarab mein gum
bas ek mauj ne dariya bana diya hai mujhe
- Book : Tabani (Pg. 25)
- Author : Mubeen Mirza
- Publication : Academy Bazyaft (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.