jala hai hae kis jaan-e-chaman ki sham-e-mahfil se
jalā hai haa.e kis jān-e-chaman kī sham-e-mahfil se
mahak phūloñ kī aatī hai sharār-e-ātish-e-dil se
ye dāmān-e-havādis se qayāmat tak na gul hogā
charāġh-e-dil mirā raushan hai un kī sham-e-mahfil se
janāb-e-ḳhizr ham ko ḳhaak raste par lagā.eñge
ki manzil be-ḳhudoñ kī hai muarra qaid-e-manzil se
Thahar bhī ai ḳhayāl-e-hashr aur ik jaam piine de
saraktā hai abhī zulmat kā parda ḳhāna-e-dil se
sahar ne le ke añgḌā.ī tilism-e-nāz-shab toḌā
falak par husn kī sham.eñ uThīñ tāroñ kī mahfil se
baḌhā hai kaun ye girdāb kī ḳhūrāk hone ko
ki uTThā shor-e-mātam yak-ba-yak amboh-e-sāhil se
mirī bālīñ se uTh kar rone vaalo ye bhī sochā hai
chalā huuñ kis kī mahfil meñ uThā huuñ kis kī mahfil se
hai us kambaḳht ko zid soz-e-bātin se pighal jā.ūñ
nigāhoñ ne tumhārī kah diyā hai kyā mire dil se
na dāman-gīr-e-dil ho nā-ḳhudā phir koī nazzāra
ḳhudā ke vāste kashtī baḌhā āġhosh-e-sāhil se
sipurd-e-be-ḳhudī kar de farā.ez aql-e-ḳhud-bīñ ke
haTā de is siyah-bātin kā pahrā ḳhāna-e-dil se
har ik zarra hai dil ai jaane vaale dekh kar chalnā
hazāroñ hastiyāñ lipTī paḌī haiñ ḳhāk-e-manzil se
mirī bebāk nazreñ un kī jānib uTh hī jaatī haiñ
abhī 'ehsān' maiñ vāqif nahīñ ādāb-e-mahfil se
jala hai hae kis jaan-e-chaman ki sham-e-mahfil se
mahak phulon ki aati hai sharar-e-atish-e-dil se
ye daman-e-hawadis se qayamat tak na gul hoga
charagh-e-dil mera raushan hai un ki sham-e-mahfil se
janab-e-KHizr hum ko KHak raste par lagaenge
ki manzil be-KHudon ki hai muarra qaid-e-manzil se
Thahar bhi ai KHayal-e-hashr aur ek jam pine de
sarakta hai abhi zulmat ka parda KHana-e-dil se
sahar ne le ke angDai tilism-e-naz-shab toDa
falak par husn ki shamen uThin taron ki mahfil se
baDha hai kaun ye girdab ki KHurak hone ko
ki uTTha shor-e-matam yak-ba-yak amboh-e-sahil se
meri baalin se uTh kar rone walo ye bhi socha hai
chala hun kis ki mahfil mein uTha hun kis ki mahfil se
hai us kambaKHt ko zid soz-e-baatin se pighal jaun
nigahon ne tumhaari kah diya hai kya mere dil se
na daman-gir-e-dil ho na-KHuda phir koi nazzara
KHuda ke waste kashti baDha aaghosh-e-sahil se
sipurd-e-be-KHudi kar de faraez aql-e-KHud-bin ke
haTa de is siyah-baatin ka pahra KHana-e-dil se
har ek zarra hai dil ai jaane wale dekh kar chalna
hazaron hastiyan lipTi paDi hain KHak-e-manzil se
meri bebak nazren un ki jaanib uTh hi jati hain
abhi 'ehsan' main waqif nahin aadab-e-mahfil se
- Book : Ghazaliyat-e-ahsaan Danish (Pg. 233)
- Author : Shabnam Parveen
- Publication : Asghar Publishers (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.