jala kar aasman rakh den ulaT kar ye zamin rakh den
jala kar aasman rakh den ulaT kar ye zamin rakh den
Nazeer Mirza Barlas
MORE BYNazeer Mirza Barlas
jalā kar āsmāñ rakh deñ ulaT kar ye zamīñ rakh deñ
kisī ke āstāñ par aah khīñcheñ aur jabīñ rakh deñ
falak bijlī girā.e bāġhbāñ zulm-o-sitam toḌe
ye apne chaar tinke hī uThā kar ham kahīñ rakh deñ
sar-e-saudā-zada meñ muztarib sajde ma.āz-allāh
kisī kā sāmnā ho pā-e-nāzuk par jabīñ rakh deñ
farishte lete jaa.eñ apne dāman meñ mire aañsū
mohabbat ke sitāre arsh-e-ālī ke qarīñ rakh deñ
'nazīr' un kī shabāb-afroz laġhzish kā taqāzā hai
ḳharāb-e-shauq sajda hāsil-e-duniyā-o-dīñ rakh deñ
jala kar aasman rakh den ulaT kar ye zamin rakh den
kisi ke aastan par aah khinchen aur jabin rakh den
falak bijli girae baghban zulm-o-sitam toDe
ye apne chaar tinke hi uTha kar hum kahin rakh den
sar-e-sauda-zada mein muztarib sajde maaz-allah
kisi ka samna ho pa-e-nazuk par jabin rakh den
farishte lete jaen apne daman mein mere aansu
mohabbat ke sitare arsh-e-ali ke qarin rakh den
'nazir' un ki shabab-afroz laghzish ka taqaza hai
KHarab-e-shauq sajda hasil-e-duniya-o-din rakh den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.