jala ke aankhen siyah shab ko khangalna hai
jalā ke āñkheñ siyāh shab ko khañgālnā hai
isī añdhere se ham ko sūraj nikālnā hai
jo baaqī chīzeñ haiñ vo to maiñ sab sambhāl lūñgā
tumheñ ye karnā hai sirf mujh ko sambhālnā hai
shikast jis kā nasīb hogī kuchh us kā socho
tumhārā kyā hai tumheñ to sikka uchhālnā hai
vo sañg-dil hai magar use mom kar rahā huuñ
inhīñ chaTānoñ se mujh ko dariyā nikālnā hai
vahī galī jis kī ham kabhī ḳhaak chhānte the
sitam to ye hai usī pe ab ḳhaak Dālnā hai
jala ke aankhen siyah shab ko khangalna hai
isi andhere se hum ko suraj nikalna hai
jo baqi chizen hain wo to main sab sambhaal lunga
tumhein ye karna hai sirf mujh ko sambhaalna hai
shikast jis ka nasib hogi kuchh us ka socho
tumhaara kya hai tumhein to sikka uchhaalna hai
wo sang-dil hai magar use mom kar raha hun
inhin chaTanon se mujh ko dariya nikalna hai
wahi gali jis ki hum kabhi KHak chhante the
sitam to ye hai usi pe ab KHak Dalna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.