jala ke sham se is tarh mat bhula diya kar
jalā ke shaam se is tarh mat bhulā diyā kar
charāġh huuñ maiñ mujhe sub.h meñ bujhā diyā kar
zamīn-e-'ishq se kaT kar maiñ rah nahīñ saktā
mujhe ukhāḌ magar phir vahīñ lagā diyā kar
gale lagā ke mujhe pyaar kar jhagaḌ mujh se
tū merā hai to mujhe hone kā patā diyā kar
maiñ terī raakh meñ chingāriyoñ sā rahtā huuñ
so jal paḌūñgā kisī din mujhe havā diyā kar
tire baġhair mirā jī kahīñ nahīñ lagtā
tū mere saath rahā kar mujhe mazā diyā kar
bikharnā ho to mujhe sang kar liyā kar tū
sañvarnā ho to mujhe aa.ina banā diyā kar
maiñ chāhtā huuñ ki baT jaa.eñ tere sub.h ke kaam
agar maiñ soyā rahūñ to mujhe jagā diyā kar
tamām din maiñ guzārūñ tire ḳhumār ke saath
maiñ ghar se chalne lagūñ to mujhe nasha diyā kar
chhupā ke apnī nigāhoñ meñ har ghaḌī mat rakh
kabhī-kabhār mujhe tū kahīñ gañvā diyā kar
maiñ tere paas bahut thak-thakā ke aatā huuñ
tū apnī god meñ le ke mujhe sulā diyā kar
jala ke sham se is tarh mat bhula diya kar
charagh hun main mujhe subh mein bujha diya kar
zamin-e-'ishq se kaT kar main rah nahin sakta
mujhe ukhaD magar phir wahin laga diya kar
gale laga ke mujhe pyar kar jhagaD mujh se
tu mera hai to mujhe hone ka pata diya kar
main teri rakh mein chingariyon sa rahta hun
so jal paDunga kisi din mujhe hawa diya kar
tere baghair mera ji kahin nahin lagta
tu mere sath raha kar mujhe maza diya kar
bikharna ho to mujhe sang kar liya kar tu
sanwarna ho to mujhe aaina bana diya kar
main chahta hun ki baT jaen tere subh ke kaam
agar main soya rahun to mujhe jaga diya kar
tamam din main guzarun tere KHumar ke sath
main ghar se chalne lagun to mujhe nasha diya kar
chhupa ke apni nigahon mein har ghaDi mat rakh
kabhi-kabhaar mujhe tu kahin ganwa diya kar
main tere pas bahut thak-thaka ke aata hun
tu apni god mein le ke mujhe sula diya kar
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 58)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.