jalae baiTha hai har koi aagahi ka charagh
jalā.e baiThā hai har koī āgahī kā charāġh
ujālā detā hai lekin kisī kisī kā charāġh
hamāre pīchhe jalā.e na kyoñ vo ghī kā charāġh
hamāre sāmne jaltā nahīñ kisī kā charāġh
jo tel Daal rahā hai use nahīñ mā'lūm
usī ke ghar ko jalā.egā kal usī kā charāġh
hamāre baa'd koī sar-phirā na aa.egā
hamārī raah takegā tirī galī kā charāġh
koī bharosa nahīñ kab ye daaġh de jaa.e
havā kī zad pe musalsal hai zindagī kā charāġh
gumān hotā hai rah rah ke us ke bujhne kā
bhaḌaktā rahtā hai har vaqt muflisī kā charāġh
'shakīl' ham ko añdheroñ se Dar nahīñ lagtā
ḳhudā ke fazl se raushan hai āgahī kā charāġh
jalae baiTha hai har koi aagahi ka charagh
ujala deta hai lekin kisi kisi ka charagh
hamare pichhe jalae na kyon wo ghi ka charagh
hamare samne jalta nahin kisi ka charagh
jo tel Dal raha hai use nahin ma'lum
usi ke ghar ko jalaega kal usi ka charagh
hamare ba'd koi sar-phira na aaega
hamari rah takega teri gali ka charagh
koi bharosa nahin kab ye dagh de jae
hawa ki zad pe musalsal hai zindagi ka charagh
guman hota hai rah rah ke us ke bujhne ka
bhaDakta rahta hai har waqt muflisi ka charagh
'shakil' hum ko andheron se Dar nahin lagta
KHuda ke fazl se raushan hai aagahi ka charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.