jalate ho mera ghar rakh meri phir uDate ho
jalāte ho mirā ghar raakh merī phir uḌāte ho
havā meñ bhar ke merā dard kyuuñ sab ko dikhāte ho
kī hai tadfīn armānoñ kī dil ke apne madfan meñ
bhulāne do ġham-e-dil roz kyuuñ tum yaad aate ho
ki sūraj Duub jaa.e to kaleja kaaT letā hai
añdherā ye bhī zālim aur sham.eñ tum bujhāte ho
mujhe tajvīz karte ho ki ḳhāmoshī ibādat hai
chubhā jo kāñTā ḳhud ko shor phir kyuuñ tum machāte ho
tumheñ to hifz thā shajara mohabbat kā aqīdat kā
hamāre ba.ad ab dars-e-vafā kis ko sunāte ho
ye merī ḳhud-kalāmī hai jo sab ash.ār kahtī huuñ
'mahak' kī bātoñ kā charchā jahāñ meñ kyuuñ machāte ho
jalate ho mera ghar rakh meri phir uDate ho
hawa mein bhar ke mera dard kyun sab ko dikhate ho
ki hai tadfin armanon ki dil ke apne madfan mein
bhulane do gham-e-dil roz kyun tum yaad aate ho
ki suraj Dub jae to kaleja kaT leta hai
andhera ye bhi zalim aur shamen tum bujhate ho
mujhe tajwiz karte ho ki KHamoshi ibaadat hai
chubha jo kanTa KHud ko shor phir kyun tum machate ho
tumhein to hifz tha shajara mohabbat ka aqidat ka
hamare baad ab dars-e-wafa kis ko sunate ho
ye meri KHud-kalami hai jo sab ashaar kahti hun
'mahak' ki baaton ka charcha jahan mein kyun machate ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.