jald aaen jinhen sine se lagana hai mujhe
jald aa.eñ jinheñ siine se lagānā hai mujhe
phir badan aur kahīñ kaam meñ laanā hai mujhe
ishq paañv se lipaTtā hai to ruk jaatā huuñ
varna tum ho to tumheñ chhoḌ ke jaanā hai mujhe
mere hāthoñ ko ḳhudā rakkhe tire jism kī ḳhair
mas.ala ye hai tujhe haath lagānā hai mujhe
dil ko dhaḌkā sā lagā rahtā hai vo jaan na le
aur phir jabr to ye hai ki batānā hai mujhe
maañg letā huuñ tire ġham se zarā sardārī
ek duniyā hai jise dil se uThānā hai mujhe
jald aaen jinhen sine se lagana hai mujhe
phir badan aur kahin kaam mein lana hai mujhe
ishq panw se lipaTta hai to ruk jata hun
warna tum ho to tumhein chhoD ke jaana hai mujhe
mere hathon ko KHuda rakkhe tere jism ki KHair
masala ye hai tujhe hath lagana hai mujhe
dil ko dhaDka sa laga rahta hai wo jaan na le
aur phir jabr to ye hai ki batana hai mujhe
mang leta hun tere gham se zara sardari
ek duniya hai jise dil se uThana hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.