jald is shahr mein hai waqt wo aane wala
jald is shahr meñ hai vaqt vo aane vaalā
ham se Dar jā.egā ḳhud ham ko Darāne vaalā
kal vahī shahr meñ sho'loñ ko havā detā thā
ham samajhte the jise aag bujhāne vaalā
vaqt har daur meñ tārīḳh na.ī likhtā hai
miT na jaa.e kahīñ ḳhud ham ko miTāne vaalā
uTh khaḌe hoñge agar zulm ke maare hue log
phir na aa.egā koī tujh ko bachāne vaalā
tū kisī aur taraf kuuch kī tayyārī kar
hai koī aur tire taḳht par aane vaalā
koī hotā nahīñ zanjīr-e-sitam se āzād
vo satāyā huā ho yā ho satāne vaalā
bhuul jaatā hai ki haath us ke bhī jal jā.eñge
vo jo hai zulm ke sho'loñ ko baḌhāne vaalā
us se har ḳhuun ke qatre kā ḳhudā legā hisāb
hashr meñ jā.egā jab hashr uThāne vaalā
chup ye haq vaale na baiThe haiñ na baiTheñge kabhī
sun le hoñToñ pe mire muhr lagāne vaalā
ai parindo tumheñ hushiyār kiye dete haiñ
phir nayā jaal hai sayyād bichhāne vaalā
piT chuke sab tire mohre ab uThā apnī bisāt
khel hai ḳhatm tirā maat hai khāne vaalā
ham pe jo zaḳhm lage haiñ so lage haiñ lekin
ek din ḳhuun meñ tū bhī hai nahāne vaalā
maiñ karūñ tere liye jam' zar-o-lā’l-o-guhar
aur tū mere ḳhazānoñ ko luTāne vaalā
yuuñ tire shahr meñ fariyād sunī jaatī hai
pā-ba-zanjīr hai zanjīr hilāne vaalā
kyā 'ajab ret kī dīvār sā ḳhud bhī gir jaa.e
mere ghar ke dar-o-dīvār girāne vaalā
jald is shahr mein hai waqt wo aane wala
hum se Dar jaega KHud hum ko Darane wala
kal wahi shahr mein sho'lon ko hawa deta tha
hum samajhte the jise aag bujhane wala
waqt har daur mein tariKH nai likhta hai
miT na jae kahin KHud hum ko miTane wala
uTh khaDe honge agar zulm ke mare hue log
phir na aaega koi tujh ko bachane wala
tu kisi aur taraf kuch ki tayyari kar
hai koi aur tere taKHt par aane wala
koi hota nahin zanjir-e-sitam se aazad
wo sataya hua ho ya ho satane wala
bhul jata hai ki hath us ke bhi jal jaenge
wo jo hai zulm ke sho'lon ko baDhane wala
us se har KHun ke qatre ka KHuda lega hisab
hashr mein jaega jab hashr uThane wala
chup ye haq wale na baiThe hain na baiThenge kabhi
sun le honTon pe mere muhr lagane wala
ai parindo tumhein hushiyar kiye dete hain
phir naya jal hai sayyaad bichhane wala
piT chuke sab tere mohre ab uTha apni bisat
khel hai KHatm tera mat hai khane wala
hum pe jo zaKHm lage hain so lage hain lekin
ek din KHun mein tu bhi hai nahane wala
main karun tere liye jam' zar-o-la’l-o-guhar
aur tu mere KHazanon ko luTane wala
yun tere shahr mein fariyaad suni jati hai
pa-ba-zanjir hai zanjir hilane wala
kya 'ajab ret ki diwar sa KHud bhi gir jae
mere ghar ke dar-o-diwar girane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.