jaldi kya hai maut to aane de mujhko
jaldī kyā hai maut to aane de mujh ko
jaan mirī māhaul banāne de mujh ko
rok nahīñ rakkhā tum ne to phir kis ne
kis ko kahnā hai ki jaane de mujh ko
in bachchoñ ko ik din ham sā honā hai
kyoñ honā hai baat batāne de mujh ko
chauthā din hai tujh se bichhḌe yaar abhī
aur judā.ī noch ke khāne de mujh ko
jaldi kya hai maut to aane de mujh ko
jaan meri mahaul banane de mujh ko
rok nahin rakkha tum ne to phir kis ne
kis ko kahna hai ki jaane de mujh ko
in bachchon ko ek din hum sa hona hai
kyon hona hai baat batane de mujh ko
chautha din hai tujh se bichhDe yar abhi
aur judai noch ke khane de mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.