jalna ho to mujhse jal
jalnā ho to mujh se jal
aa mere paikar meñ Dhal
shāyad TuuTā patta huuñ
mujh se rūThā hai jañgal
maiñ patthar Dhalvānoñ kā
luḌhkūñ to nīche daldal
kis kī pyaas bujhā.egā
sūkhe dariyā kā ye nal
dhuup kisī bhī ghar jaa.e
mere āñgan meñ pīpal
mere ḳhvāboñ kā sūraj
merī nazroñ se ojhal
aag lagī hai tan-man meñ
ab to aise ghar se nikal
jalna ho to mujh se jal
aa mere paikar mein Dhal
shayad TuTa patta hun
mujh se ruTha hai jangal
main patthar Dhalwanon ka
luDhkun to niche daldal
kis ki pyas bujhaega
sukhe dariya ka ye nal
dhup kisi bhi ghar jae
mere aangan mein pipal
mere KHwabon ka suraj
meri nazron se ojhal
aag lagi hai tan-man mein
ab to aise ghar se nikal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.