jalne walon ko aur satate hain
jalne vāloñ ko aur satāte haiñ
aao sūraj pe ghar banāte haiñ
chandā māmūñ se dostī kar ke
charḳha buḌhiyā se chhīn laate haiñ
phir se karte haiñ dushmanī ḳhud se
phir se apnoñ ke kaam aate haiñ
aañkh vāloñ se raushnī le kar
naak vāloñ meñ baañT aate haiñ
jis meñ banda na koī sīdhā ho
aisī bastī koī basāte haiñ
booT ḳhvāhish meñ chāTne vaale
apne logoñ pe hal chalāte haiñ
un ko kahte haiñ chhoḌ deñ vo hameñ
saada logoñ se ghar sajāte haiñ
saarī duniyā se mashvara kar ke
apnī marzī ke giit gaate haiñ
jin pe ho naaz zindagī meñ vahī
dil kī īñToñ pe bam girāte haiñ
vā'de karte haiñ jiine marne ke
dhoke kaise ye dil lubhāte haiñ
apnī hastī meñ Dūbne ke liye
ab ke naav nadī pe laate haiñ
jalne walon ko aur satate hain
aao suraj pe ghar banate hain
chanda mamun se dosti kar ke
charKHa buDhiya se chhin late hain
phir se karte hain dushmani KHud se
phir se apnon ke kaam aate hain
aankh walon se raushni le kar
nak walon mein banT aate hain
jis mein banda na koi sidha ho
aisi basti koi basate hain
booT KHwahish mein chaTne wale
apne logon pe hal chalate hain
un ko kahte hain chhoD den wo hamein
sada logon se ghar sajate hain
sari duniya se mashwara kar ke
apni marzi ke git gate hain
jin pe ho naz zindagi mein wahi
dil ki inTon pe bam giraate hain
wa'de karte hain jine marne ke
dhoke kaise ye dil lubhate hain
apni hasti mein Dubne ke liye
ab ke naw nadi pe late hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.