Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jalsa nahin julus nahin shairi nahin

Nomaan Shauque

jalsa nahin julus nahin shairi nahin

Nomaan Shauque

MORE BYNomaan Shauque

    jalsa nahīñ julūs nahīñ shā'irī nahīñ

    hālat hamārī phir bhī kisī se chhupī nahīñ

    paiġhām se 'ilāj na kar aa ke nabz dekh

    sāñseñ milī huī haiñ magar zindagī nahīñ

    bolā bigaḌ ke vo mire isrār-e-vasl par

    maiñ ne kahā nahīñ to samajh vāqa'ī nahīñ

    kal raat vo yaqīn dilā gayā mujhe

    is zindagī ke baa'd koī zindagī nahīñ

    duniyā ke sab ḳhudāoñ jamm-e-ġhafīr thā

    bande ek 'arz kisī ne sunī nahīñ

    ḳhud kahā karo mirī tā'rīf she'r meñ

    ḳhud kahā ki ye to koī shā'irī nahīñ

    jalsa nahin julus nahin sha'iri nahin

    haalat hamari phir bhi kisi se chhupi nahin

    paigham se 'ilaj na kar aa ke nabz dekh

    sansen mili hui hain magar zindagi nahin

    bola bigaD ke wo mere israr-e-wasl par

    main ne kaha nahin to samajh waqa'i nahin

    kal raat wo yaqin dila hi gaya mujhe

    is zindagi ke ba'd koi zindagi nahin

    duniya ke sab KHudaon ka jamm-e-ghafir tha

    bande ki ek 'arz kisi ne suni nahin

    KHud hi kaha karo meri ta'rif she'r mein

    KHud hi kaha ki ye to koi sha'iri nahin

    Source :
    • Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 59)
    • Author : Nomaan Shauque
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now