jalte hue charagh ki lau se bujha hun main
jalte hue charāġh kī lau se bujhā huuñ maiñ
yā'nī ki tīrgī se banā dast-o-pā huuñ maiñ
itnī bhī be-ruḳhī se na tū darkinār kar
maanā ki māvarā huuñ magar mas.ala huuñ maiñ
maanā ki kam-suḳhan huuñ magar be-zabāñ nahīñ
ik marhale ke baa'd ġhazab boltā huuñ maiñ
merī kitāb-e-ruḳh ko agar paḌh sako paḌho
har lafz lafz dil kī girah kholtā huuñ maiñ
jalte hue charagh ki lau se bujha hun main
ya'ni ki tirgi se bana dast-o-pa hun main
itni bhi be-ruKHi se na tu darkinar kar
mana ki mawara hun magar masala hun main
mana ki kam-suKHan hun magar be-zaban nahin
ek marhale ke ba'd ghazab bolta hun main
meri kitab-e-ruKH ko agar paDh sako paDho
har lafz lafz dil ki girah kholta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.