jalte hue gharon ka dhuan mere ghar mein hai
jalte hue gharon ka dhuan mere ghar mein hai
Khateeb Rafatullah Rafat
MORE BYKhateeb Rafatullah Rafat
jalte hue gharoñ kā dhuāñ mere ghar meñ hai
taskīn-e-iztirāb had-e-mo'atabar meñ hai
rahmat ke arz-o-tūl kā andāz lā-muhāl
tauba kī āb-o-tāb dam-e-muḳhtasar meñ hai
tahrīr-e-ishtibāh se ghabrā.iye nahīñ
haañ zauq-e-sharh-e-matan har ik nāma-bar meñ hai
ham chaah kar kahīñ bhī Thaharne na pā.eñge
ye saarī kā.enāt barābar safar meñ hai
ye saarā dahr arsa-e-tahsīñ zarūr hai
bas ek māhtāb hamārī nazar meñ hai
'raf'at' kaho shi.ār-e-sukūñ kis kā naam hai
har ek aadmī yahāñ ḳhauf-o-ḳhatar meñ hai
jalte hue gharon ka dhuan mere ghar mein hai
taskin-e-iztirab had-e-mo'atabar mein hai
rahmat ke arz-o-tul ka andaz la-muhaal
tauba ki aab-o-tab dam-e-muKHtasar mein hai
tahrir-e-ishtibah se ghabraiye nahin
han zauq-e-sharh-e-matan har ek nama-bar mein hai
hum chah kar kahin bhi Thaharne na paenge
ye sari kaenat barabar safar mein hai
ye sara dahr arsa-e-tahsin zarur hai
bas ek mahtab hamari nazar mein hai
'raf'at' kaho shiar-e-sukun kis ka nam hai
har ek aadmi yahan KHauf-o-KHatar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.