jalti dopahron mein ek saya sa zer-e-ghaur hai
jaltī dopahroñ meñ ik saaya sā zer-e-ġhaur hai
bujhtī āñkhoñ meñ koī chehra sā zer-e-ġhaur hai
ab ke maiñ zinda rahūñ yā phir se mar jā.ūñ 'suhail'
faisla sab ho chukā thoḌā sā zer-e-ġhaur hai
itnī vīrānī meñ raushan ho tirī tasvīr kab
is sulagte jism meñ sho.ala sā zer-e-ġhaur hai
jism ke ā.īne meñ sho.ala sā rakhā hai savāl
paañv kī zanjīr ko halqa sā zer-e-ġhaur hai
niiñd uḌtī hī rahī ḳhvāboñ ke jañgal meñ sadā
āsmāñ par chāñd kā ḳhāka sā zer-e-ġhaur hai
gar ga.ī tārīḳh mere haath se ahmad 'suhail'
ik na.e insān kā ḳhāka sā zer-e-ġhaur hai
jalti dopahron mein ek saya sa zer-e-ghaur hai
bujhti aankhon mein koi chehra sa zer-e-ghaur hai
ab ke main zinda rahun ya phir se mar jaun 'suhail'
faisla sab ho chuka thoDa sa zer-e-ghaur hai
itni virani mein raushan ho teri taswir kab
is sulagte jism mein shoala sa zer-e-ghaur hai
jism ke aaine mein shoala sa rakha hai sawal
panw ki zanjir ko halqa sa zer-e-ghaur hai
nind uDti hi rahi KHwabon ke jangal mein sada
aasman par chand ka KHaka sa zer-e-ghaur hai
gar gai tariKH mere hath se ahmad 'suhail'
ek nae insan ka KHaka sa zer-e-ghaur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.