jalti ruton mein umr guzarne ke baad ab
jaltī rutoñ meñ umr guzarne ke baad ab
sarshār ek sāya-e-rahmat ne kar diyā
itnā to ḳhud ḳhudā ne banāyā nahīñ hameñ
jitnā hasīn aap kī sohbat ne kar diyā
chāheñ kisī ko aur vo hāsil bhī ho hameñ
ye kis tarah kā mo.ajiza qismat ne kar diyā
is zindagī ke saare masā.il kā hal sanam
is zindagī meñ aap kī shirkat ne kar diyā
din-bhar hañsī-ḳhushī se guzarne ke baad phir
ham ko udaas shaam kī rangat ne kar diyā
jalti ruton mein umr guzarne ke baad ab
sarshaar ek saya-e-rahmat ne kar diya
itna to KHud KHuda ne banaya nahin hamein
jitna hasin aap ki sohbat ne kar diya
chahen kisi ko aur wo hasil bhi ho hamein
ye kis tarah ka moajiza qismat ne kar diya
is zindagi ke sare masail ka hal sanam
is zindagi mein aap ki shirkat ne kar diya
din-bhar hansi-KHushi se guzarne ke baad phir
hum ko udas sham ki rangat ne kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.