Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jalwa be-maya sa tha chashm-o-nazar se pahle

Sher Afzal Jafri

jalwa be-maya sa tha chashm-o-nazar se pahle

Sher Afzal Jafri

MORE BYSher Afzal Jafri

    jalva be-māya thā chashm-o-nazar se pahle

    ziist ik hādsa thī qalb-o-jigar se pahle

    husn ke soz-e-numā.ish hai in.ām-e-hayāt

    vaqt bhī vaqt na thā shams-o-qamar se pahle

    vahī utrī dil-e-betāb tashkīl ke ba.ad

    ishq ta.amīr huā ilm-o-hunar se pahle

    ain firdaus meñ jal uTThā thā aadam shabāb

    aag barsī thī yahīñ dīda-e-tar se pahle

    phir kahīñ dil ke sivā un ko amaañ na milī

    but nikāle ga.e allāh ke ghar se pahle

    zindagī mazra.a-e-taklīf-o-sukūñ hai 'afzal'

    shaam ugtī hai yahāñ nūr-e-sahar se pahle

    jalwa be-maya sa tha chashm-o-nazar se pahle

    zist ek hadsa thi qalb-o-jigar se pahle

    husn ke soz-e-numaish ka hai inam-e-hayat

    waqt bhi waqt na tha shams-o-qamar se pahle

    wahi utri dil-e-betab ki tashkil ke baad

    ishq tamir hua ilm-o-hunar se pahle

    ain firdaus mein jal uTTha tha aadam ka shabab

    aag barsi thi yahin dida-e-tar se pahle

    phir kahin dil ke siwa un ko aman hi na mili

    but nikale gae allah ke ghar se pahle

    zindagi mazra-e-taklif-o-sukun hai 'afzal'

    sham ugti hai yahan nur-e-sahar se pahle

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 569)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now