jalwa dikha ke guzra wo nur didgan ka
jalva dikhā ke guzrā vo nuur dīdgāñ kā
tārīk kar gayā ghar hasrat-kashīdgāñ kā
ġham yaar kā na bhūle so baaġh agar dikhā deñ
kab dil chaman meñ vā ho mātam-rasīdgāñ kā
rañg-e-hinā pe tohmat us lāla-rū ne bāñdhī
hāthoñ meñ mal ke aayā ḳhuuñ dil-tapīdgāñ kā
ahl-e-qubūr uupar vo shoḳh kal jo guzrā
betāb ho gayā dil ḳhāk-ārmīdgāñ kā
yuuñ 'mīr' se sunā hai vo mast-e-jām 'bedār'
tah kar gayā musallā uzlat-uzīdgāñ kā
jalwa dikha ke guzra wo nur didgan ka
tarik kar gaya ghar hasrat-kashidgan ka
gham yar ka na bhule so bagh agar dikha den
kab dil chaman mein wa ho matam-rasidgan ka
rang-e-hina pe tohmat us lala-ru ne bandhi
hathon mein mal ke aaya KHun dil-tapidgan ka
ahl-e-qubur upar wo shoKH kal jo guzra
betab ho gaya dil KHak-armidgan ka
yun 'mir' se suna hai wo mast-e-jam 'bedar'
tah kar gaya musalla uzlat-uzidgan ka
- Book : intekhaab-e-sukhan(avval) (Pg. 100)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.