jalwa dikhlati hai wahshat gardish-e-taqdir ka
jalwa dikhlati hai wahshat gardish-e-taqdir ka
Meer Shamsuddeen Faiz
MORE BYMeer Shamsuddeen Faiz
jalva dikhlātī hai vahshat gardish-e-taqdīr kā
shola-e-javvāla halqa hai mirī zanjīr kā
kaam ma.anī se nahīñ sūrat-parastī ke sivā
ḳhat-e-ruḳhsār-e-butāñ ḳhat hai mirī taqdīr kā
ishq meñ had nā-tavāñ huuñ mānī-o-bahzād se
uTh nahīñ saktā kabhū ḳhāka mirī tasvīr kā
'faiz' vasf-e-mus.haf-e-ruḳhsār meñ yaañ tak huuñ mahv
hai mire dīvān par dhokā mujhe tafsīr kā
jalwa dikhlati hai wahshat gardish-e-taqdir ka
shola-e-jawwala halqa hai meri zanjir ka
kaam mani se nahin surat-parasti ke siwa
KHat-e-ruKHsar-e-butan KHat hai meri taqdir ka
ishq mein had na-tawan hun mani-o-bahzad se
uTh nahin sakta kabhu KHaka meri taswir ka
'faiz' wasf-e-mushaf-e-ruKHsar mein yan tak hun mahw
hai mere diwan par dhoka mujhe tafsir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.