jalwa-e-jaan-faza dikhata rah
jalva-e-jāñ-fazā dikhātā rah
dil-e-be-jān kuuñ jalātā rah
dil hamārā ġharīb-ḳhāna hai
gaah gaah is taraf bhī aatā rah
ḳhushk hote haiñ dam-ba-dam lab-e-zaḳhm
aab shamshīr kā pilātā rah
'ishq aatā hai fauj-e-ġham le kar
tujh kuuñ kahtā huuñ hosh, jaatā rah
taaki ḳhush hove gul-badan bulbul
aksar apnī ġhazal sunātā rah
mansab-e-ishq hai agar tujh kuuñ
naubat-e-āh kuuñ bajātā rah
sham'-rū siiñ 'sirāj' jā kar bol
ki patañgoñ kuuñ mat jalātā rah
jalwa-e-jaan-faza dikhata rah
dil-e-be-jaan kun jalata rah
dil hamara gharib-KHana hai
gah gah is taraf bhi aata rah
KHushk hote hain dam-ba-dam lab-e-zaKHm
aab shamshir ka pilata rah
'ishq aata hai fauj-e-gham le kar
tujh kun kahta hun hosh, jata rah
taki KHush howe gul-badan bulbul
aksar apni ghazal sunata rah
mansab-e-ishq hai agar tujh kun
naubat-e-ah kun bajata rah
sham'-ru sin 'siraj' ja kar bol
ki patangon kun mat jalata rah
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 549)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.