jalwa-e-sham hai ye subh ka manzar to nahin
jalva-e-shām hai ye sub.h kā manzar to nahīñ
chāñd kaisā bhī ho sūraj ke barābar to nahīñ
qaht-e-shamshād-e-qadāñ vaj.h-e-sar-afrāzī hai
varna sarkār kuchh aise bhī qad-āvar to nahīñ
ism-e-āzam koī phūñke to ye jaadū TuuTe
but bane sehr se ham-sañg ke paikar to nahīñ
kaam aa.egī sarv-o-sañg kī nisbat varna
dar-numā naqsh haiñ dīvār pe ye dar to nahīñ
jazba-e-shauqat-e-ta.amīr banā marqad-e-shauq
is na.e shahr ke ye tāj-mahal ghar to nahīñ
jalwa-e-sham hai ye subh ka manzar to nahin
chand kaisa bhi ho suraj ke barabar to nahin
qaht-e-shamshad-e-qadan wajh-e-sar-afraazi hai
warna sarkar kuchh aise bhi qad-awar to nahin
ism-e-azam koi phunke to ye jadu TuTe
but bane sehr se ham-sang ke paikar to nahin
kaam aaegi sarw-o-sang ki nisbat warna
dar-numa naqsh hain diwar pe ye dar to nahin
jazba-e-shauqat-e-tamir bana marqad-e-shauq
is nae shahr ke ye taj-mahal ghar to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.