jalwa-farma hai jo wo rashk-e-qamar aaj ki raat
jalva-farmā hai jo vo rashk-e-qamar aaj kī raat
misl-e-firdaus hai raushan mirā ghar aaj kī raat
dil-e-sozāñ se nikalte haiñ sharar aaj kī raat
ho na jal-bhun ke kabāb apnā jigar aaj kī raat
nigah-e-shoḳh shab-e-vasl hai dil kī dushman
siine meñ tiir qazā kā hai guzar aaj kī raat
hai mire nāla-e-dil kī ye kashish ai hamdam
ḳhvāb meñ aa.e jo vo mujh ko nazar aaj kī raat
be-bulā.e mire ghar vo shah-e-ḳhūbāñ aaya
lashkar-e-ġham pe huī mujh ko zafar aaj kī raat
chashm-e-maigūñ ke tasavvur meñ huā huuñ behosh
dīn-o-duniyā kī nahīñ mujh ko ḳhabar aaj kī raat
dil phuñkā jaatā hai siine meñ lagī hai ātish
hai taraqqī pe mirā soz-e-jigar aaj kī raat
mehmāñ kaun yahāñ aa.egā 'sābir' ki jo hai
shakl-e-chashm-e-nigarāñ halqa-e-dar aaj kī raat
jalwa-farma hai jo wo rashk-e-qamar aaj ki raat
misl-e-firdaus hai raushan mera ghar aaj ki raat
dil-e-sozan se nikalte hain sharar aaj ki raat
ho na jal-bhun ke kabab apna jigar aaj ki raat
nigah-e-shoKH shab-e-wasl hai dil ki dushman
sine mein tir qaza ka hai guzar aaj ki raat
hai mere nala-e-dil ki ye kashish ai hamdam
KHwab mein aae jo wo mujh ko nazar aaj ki raat
be-bulae mere ghar wo shah-e-KHuban aaya
lashkar-e-gham pe hui mujh ko zafar aaj ki raat
chashm-e-maigun ke tasawwur mein hua hun behosh
din-o-duniya ki nahin mujh ko KHabar aaj ki raat
dil phunka jata hai sine mein lagi hai aatish
hai taraqqi pe mera soz-e-jigar aaj ki raat
mehman kaun yahan aaega 'sabir' ki jo hai
shakl-e-chashm-e-nigaran halqa-e-dar aaj ki raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.