jalwa-farosh-e-KHas ka andaz-e-am dekh
jalva-farosh-e-ḳhās kā andāz-e-ām dekh
har zarre ke vajūd meñ us kā qayām dekh
aa.egā past tujh ko nazar phir har āstāñ
sajdoñ meñ baiTh kar tū hasīñ kā maqām dekh
terī talāsh meñ haiñ mire saath sargirāñ
merī hayāt-o-maut kā saudā-e-ḳhām dekh
ho dekhnā uruuj meñ shān-e-zavāl agar
ye mehr-e-nīm-roz ye māh-e-tamām dekh
'maḳhmūr' agar samajh meñ na aa.e ma.āl-e-zīst
ba.ad numūd-e-sub.h siyāhī-e-shām dekh
jalwa-farosh-e-KHas ka andaz-e-am dekh
har zarre ke wajud mein us ka qayam dekh
aaega past tujh ko nazar phir har aastan
sajdon mein baiTh kar tu hasin ka maqam dekh
teri talash mein hain mere sath sargiran
meri hayat-o-maut ka sauda-e-KHam dekh
ho dekhna uruj mein shan-e-zawal agar
ye mehr-e-nim-roz ye mah-e-tamam dekh
'maKHmur' agar samajh mein na aae maal-e-zist
baad numud-e-subh siyahi-e-sham dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.