jalwa-faroz dil mein hai wo gul-ezar aaj
jalva-faroz dil meñ hai vo gul-ezār aaj
uf re ḳhizāñ-rasīda chaman kī bahār aaj
donoñ ko har taraf hai tirā intizār aaj
dil ko qarār hai na nazar ko qarār aaj
dekheñ to chuum leñ dam-e-ārā.ish ā.īna
un ko bhī apnī shakl pe aa jaa.e pyaar aaj
lo intihā-e-shauq ne dīvāna kar diyā
maiñ hañs rahā huuñ sub.h se be-iḳhtiyār aaj
dil mahv-e-iztirāb to lab sirf vaah vā
kitne maze kī hai ḳhalish-e-intizār aaj
jalwa-faroz dil mein hai wo gul-ezar aaj
uf re KHizan-rasida chaman ki bahaar aaj
donon ko har taraf hai tera intizar aaj
dil ko qarar hai na nazar ko qarar aaj
dekhen to chum len dam-e-araish aaina
un ko bhi apni shakl pe aa jae pyar aaj
lo intiha-e-shauq ne diwana kar diya
main hans raha hun subh se be-iKHtiyar aaj
dil mahw-e-iztirab to lab sirf wah wa
kitne maze ki hai KHalish-e-intizar aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.