jalwa jab mujhko dikhaya yar ne
jalva jab mujh ko dikhāyā yaar ne
vahm hastī kā uThāyā yaar ne
jām-e-vahdat jab kiyā nazr-e-atā
mast dīvāna banāyā yaar ne
bol uThā murda zabāñ se be-gumāñ
qum bi-iznī jab sunāyā yaar ne
husn-e-vahdat jalva-gar hai jā-ba-jā
lā-makāñ mujh ko batāyā yaar ne
kyā ajab zāhir kiyā nāz-o-adā
ishq meñ mujh ko phañsāyā yaar ne
jab khulā uqda ḳhafī asrār kā
barsar-e-mahfil hañsāyā yaar ne
jalwa jab mujh ko dikhaya yar ne
wahm hasti ka uThaya yar ne
jam-e-wahdat jab kiya nazr-e-ata
mast diwana banaya yar ne
bol uTha murda zaban se be-guman
qum bi-izni jab sunaya yar ne
husn-e-wahdat jalwa-gar hai ja-ba-ja
la-makan mujh ko bataya yar ne
kya ajab zahir kiya naz-o-ada
ishq mein mujh ko phansaya yar ne
jab khula uqda KHafi asrar ka
barsar-e-mahfil hansaya yar ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.