jalwa karam ka usne dikhaya nahin hanuz
jalva karam kā us ne dikhāyā nahīñ hanūz
zarre ko āftāb banāyā nahīñ hanūz
jo chāhe dekh le tujhe merī nigāh se
maiñ ne tujhe kisī se chhupāyā nahīñ hanūz
maanā ki iltifāt fuzūñ-tar hai aap kā
dil ne magar ġhamoñ ko bhulāyā nahīñ hanūz
uljhā huā huuñ aaj bhī tere ḳhayāl se
dāman ko ḳhār-e-ġham se chhuḌāyā nahīñ hanūz
miT kar bhī dil ko lutf-o-karam kī hai aarzū
goyā sila vafāoñ kā paayā nahīñ hanūz
vo jis pe ābrū-e-vafā kā madār hai
vo ashk-e-shauq maiñ ne bahāyā nahīñ hanūz
be-dāġh aaj bhī hai jabīn-e-niyāz-e-ishq
sar ko kahīñ pe maiñ ne jhukāyā nahīñ hanūz
jis par hai inhisār mirī maut-o-zīst kā
maiñ ne vo raaz tum ko batāyā nahīñ hanūz
'sāhir' kisī se milne kī hasrat ho kis liye
maiñ ne ḳhud apne aap ko paayā nahīñ hanūz
jalwa karam ka us ne dikhaya nahin hanuz
zarre ko aaftab banaya nahin hanuz
jo chahe dekh le tujhe meri nigah se
main ne tujhe kisi se chhupaya nahin hanuz
mana ki iltifat fuzun-tar hai aap ka
dil ne magar ghamon ko bhulaya nahin hanuz
uljha hua hun aaj bhi tere KHayal se
daman ko KHar-e-gham se chhuDaya nahin hanuz
miT kar bhi dil ko lutf-o-karam ki hai aarzu
goya sila wafaon ka paya nahin hanuz
wo jis pe aabru-e-wafa ka madar hai
wo ashk-e-shauq main ne bahaya nahin hanuz
be-dagh aaj bhi hai jabin-e-niyaz-e-ishq
sar ko kahin pe main ne jhukaya nahin hanuz
jis par hai inhisar meri maut-o-zist ka
main ne wo raaz tum ko bataya nahin hanuz
'sahir' kisi se milne ki hasrat ho kis liye
main ne KHud apne aap ko paya nahin hanuz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.