jalwa tera is tarah se nakaam na hota
jalva tirā is tarah se nākām na hotā
ham tuur pe hote to ye anjām na hotā
suntā maiñ kahāñ vā.iz-e-nādān kī nasīhat
gar vāz-o-nasīhat meñ tirā naam na hotā
ġhunche kī chaTak dil kī tahoñ meñ na utartī
is meñ jo nahufta tirā paiġhām na hotā
ye rizq kī hai kor-nigāhī kī nahīñ baat
daana bhī na hotā jo kahīñ daam na hotā
kaTtā bhalā kyūñkar shab-e-furqat kā añdherā
palkoñ pe charāġhāñ jo sar-e-shām na hotā
'āzād' nasheman se qafas meñ jo na aate
is vaqt jo hāsil hai vo ārām na hotā
jalwa tera is tarah se nakaam na hota
hum tur pe hote to ye anjam na hota
sunta main kahan waiz-e-nadan ki nasihat
gar waz-o-nasihat mein tera nam na hota
ghunche ki chaTak dil ki tahon mein na utarti
is mein jo nahufta tera paigham na hota
ye rizq ki hai kor-nigahi ki nahin baat
dana bhi na hota jo kahin dam na hota
kaTta bhala kyunkar shab-e-furqat ka andhera
palkon pe charaghan jo sar-e-sham na hota
'azad' nasheman se qafas mein jo na aate
is waqt jo hasil hai wo aaram na hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.