jalwe hawa ke dosh ye koi ghaTa ke dekh
jalve havā ke dosh ye koī ghaTā ke dekh
maiḳhāne uḌte phirte haiñ manzar fazā ke dekh
kyuuñ shān-e-husn ā.ina-ḳhāne meñ jā ke dekh
'az.har' ko apne husn kā maz.har banā ke dekh
mahsūr ho ga.ī hai tajallī nigāh meñ
ab to mirī nigāh se dāman bachā ke dekh
kyā jaane kis maqām ye qismat chamak uThe
māyūs kyuuñ hai dast-e-talab to baḌhā ke dekh
zarroñ se phuuT niklegī ulfat kī raushnī
yaaro na ho to ḳhaak meñ dil ko milā ke dekh
sad-rashk zindagī hai havādis kā aa.ina
'az.har' is aa.ine meñ zarā muskurā ke dekh
jalwe hawa ke dosh ye koi ghaTa ke dekh
maiKHane uDte phirte hain manzar faza ke dekh
kyun shan-e-husn aaina-KHane mein ja ke dekh
'azhar' ko apne husn ka mazhar bana ke dekh
mahsur ho gai hai tajalli nigah mein
ab to meri nigah se daman bacha ke dekh
kya jaane kis maqam ye qismat chamak uThe
mayus kyun hai dast-e-talab to baDha ke dekh
zarron se phuT niklegi ulfat ki raushni
yaro na ho to KHak mein dil ko mila ke dekh
sad-rashk zindagi hai hawadis ka aaina
'azhar' is aaine mein zara muskura ke dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.