jalwe hon ru-ba-ru to tamasha kare koi
jalve hoñ rū-ba-rū to tamāshā kare koī
jab kuchh nazar na aa.e to phir kyā kare koī
husn-e-latīf kyoñ ho asīr-e-nigāh-e-shauq
ham ḳhud ye chāhte haiñ ki pardā kare koī
sad.hā hijāb-hā-e-ta.ayyun ke bāvajūd
vo kyā kareñ jo un kī tamannā kare koī
tharrā ke rah ga.ī hai mirī kā.enāt-e-hosh
aise bhī sāmne se na guzrā kare koī
kis kis se rāh-e-dost meñ dāman chhuḌā.īye
har zarra chāhtā hai ki sajda kare koī
har qalb muztarib hai magar un kī maslahat
duniyā ḳharāb-e-ġham hai magar kyā kare koī
merī nigāh-e-shauq se is bazm-e-nāz meñ
vo husn aa rahā hai ki dekhā kare koī
dil āshnā-e-ġham ho to ai 'kaif' bazm-e-dahr
aisā nigār-ḳhāna hai dekhā kare koī
jalwe hon ru-ba-ru to tamasha kare koi
jab kuchh nazar na aae to phir kya kare koi
husn-e-latif kyon ho asir-e-nigah-e-shauq
hum KHud ye chahte hain ki parda kare koi
sadha hijab-ha-e-tayyun ke bawajud
wo kya karen jo un ki tamanna kare koi
tharra ke rah gai hai meri kaenat-e-hosh
aise bhi samne se na guzra kare koi
kis kis se rah-e-dost mein daman chhuDaiye
har zarra chahta hai ki sajda kare koi
har qalb muztarib hai magar un ki maslahat
duniya KHarab-e-gham hai magar kya kare koi
meri nigah-e-shauq se is bazm-e-naz mein
wo husn aa raha hai ki dekha kare koi
dil aashna-e-gham ho to ai 'kaif' bazm-e-dahr
aisa nigar-KHana hai dekha kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.