jalwe ko parda parde ko jalwa bana diya
jalwe ko parda parde ko jalwa bana diya
Ved Prakash Malik Sarshar
MORE BYVed Prakash Malik Sarshar
jalve ko pardā parde ko jalva banā diyā
ahl-e-nazar ko tum ne tamāsha banā diyā
zarre ko mahr qatre ko dariyā banā diyā
terī nazar ne kyā se hameñ kyā banā diyā
haq ne tumheñ baḌā hameñ chhoTā banā diyā
jo kuchh banā diyā bahut achchhā banā diyā
kyā pūchhte ho ham ne tumheñ kyā banā diyā
rūh-e-hayāt jān-e-tamannā banā diyā
sarmastī-e-bahār kā 'ālam na pūchhiye
har gul ki us ne sāġhar-o-sahbā banā diyā
duniyā hamāre vāste dozaḳh se kam na thī
duniyā ko tere ishq ne duniyā banā diyā
is dil kā haal pūchh rahe haiñ vo bār-bār
jis dil ko be-niyāz-e-tamannā banā diyā
dekheñ lahū se bhartā hai ab is meñ rañg kaun
ham ne na.ī bahār kā naqshā banā diyā
jab koī aañkh terā nazārā na kar sakī
jaisā kisī ke zehn meñ aayā banā diyā
'sarshār' un ke ġham kā ye ehsāñ bhī ḳhuub hai
duniyā ko ġham-gusār hamārā banā diyā
jalwe ko parda parde ko jalwa bana diya
ahl-e-nazar ko tum ne tamasha bana diya
zarre ko mahr qatre ko dariya bana diya
teri nazar ne kya se hamein kya bana diya
haq ne tumhein baDa hamein chhoTa bana diya
jo kuchh bana diya bahut achchha bana diya
kya puchhte ho hum ne tumhein kya bana diya
ruh-e-hayat jaan-e-tamanna bana diya
sarmasti-e-bahaar ka 'alam na puchhiye
har gul ki us ne saghar-o-sahba bana diya
duniya hamare waste dozaKH se kam na thi
duniya ko tere ishq ne duniya bana diya
is dil ka haal puchh rahe hain wo bar-bar
jis dil ko be-niyaz-e-tamanna bana diya
dekhen lahu se bharta hai ab is mein rang kaun
hum ne nai bahaar ka naqsha bana diya
jab koi aankh tera nazara na kar saki
jaisa kisi ke zehn mein aaya bana diya
'sarshaar' un ke gham ka ye ehsan bhi KHub hai
duniya ko gham-gusar hamara bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.