jalwe nahin hote wo nazare nahin hote
jalve nahīñ hote vo nazāre nahīñ hote
jab chāñd ke pahlū meñ sitāre nahīñ hote
ham is liye karte haiñ tire ġham kī parastish
kāñToñ ke ḳharīdār to saare nahīñ hote
sāhil ke talabgār ye pahle se samajh leñ
dariyā-e-mohabbat ke kināre nahīñ hote
uThte hue jazbāt ke tūfāñ nahīñ rukte
pāband-e-ravish vaqt ke dhāre nahīñ hote
jalwe nahin hote wo nazare nahin hote
jab chand ke pahlu mein sitare nahin hote
hum is liye karte hain tere gham ki parastish
kanTon ke KHaridar to sare nahin hote
sahil ke talabgar ye pahle se samajh len
dariya-e-mohabbat ke kinare nahin hote
uThte hue jazbaat ke tufan nahin rukte
paband-e-rawish waqt ke dhaare nahin hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.