jalwon ke dil-fareb nazare nazar mein hain
jalvoñ ke dil-fareb nazāre nazar meñ haiñ
dariyā-e-rang-o-nūr ke dhāre nazar meñ haiñ
sab kuchh samajh ke bhī na jinheñ kuchh samajh sakeñ
mub.ham se un ke vo bhī ishāre nazar meñ haiñ
e'rāz-e-husn-e-dost hai bā-e-tarz-e-iltifāt
tūfāñ ke saath saath kināre nazar meñ haiñ
ā'māl apne kuchh bhī nahīñ ziist meñ magar
us kī hī rahmatoñ ke sahāre nazar meñ haiñ
'in'ām' jin ko ziist meñ hāsil nahīñ sukūñ
aise bhī kuchh habīb hamāre nazar meñ haiñ
jalwon ke dil-fareb nazare nazar mein hain
dariya-e-rang-o-nur ke dhaare nazar mein hain
sab kuchh samajh ke bhi na jinhen kuchh samajh saken
mubham se un ke wo bhi ishaare nazar mein hain
e'raaz-e-husn-e-dost hai ba-e-tarz-e-iltifat
tufan ke sath sath kinare nazar mein hain
aa'mal apne kuchh bhi nahin zist mein magar
us ki hi rahmaton ke sahaare nazar mein hain
'in'am' jin ko zist mein hasil nahin sukun
aise bhi kuchh habib hamare nazar mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.