jalwon ki tere lae koi tab kahan tak
jalvoñ kī tire laa.e koī taab kahāñ tak
har shai meñ numāyāñ haiñ nazar jaa.e jahāñ tak
milne ko to mil jaa.eñ abhī donoñ jahāñ tak
kam-baḳht duā aa bhī chuke dil se zabāñ tak
ham ḳhāk-nashīnoñ kī rasā.ī hai vahāñ tak
pahuñche na farishtoñ kā jahāñ vahm-o-gumāñ tak
pahuñchā diyā saaqī ne dar-e-pīr-e-muġhāñ tak
aur sair-e-ḳharābāt ne kyā jaane kahāñ tak
ka.aba meñ kalīsā meñ use DhūñD ke āḳhir
had ye hai ki aa pahuñche haiñ ab kū-e-butāñ tak
ulfat bhī hai kyā chiiz shikāyat kī koī baat
uTThī bhī agar dil se to aa.ī na zabāñ tak
hone ko sahar aa.ī hai ḳhāmosh ho ai sham.a
tū sozish-e-parvāna pe ro.egī kahāñ tak
zāhid ke liye qasr bhī hūreñ bhī jināñ bhī
lekin nahīñ rindoñ ke liye ek dukāñ tak
va.ada to vafā ho ki na ho ye hai shikāyat
lab se kabhī niklī nahīñ taskīn ko haañ tak
kyā kyā na hañsī abrū-o-mizhgāñ ne uḌaa.ī
pahuñchī jo kabhī baat zarā teġh-o-sināñ tak
nūr-e-sahar-o-rang-e-sahar par nahīñ mauqūf
dushman hai shab-e-vasl meñ āvāz-e-azāñ tak
jaadū hai adāoñ meñ nigāhoñ meñ karishme
aisoñ se bachā.e koī īmān kahāñ tak
saaqī kā karam dekh ki ik aan meñ 'shāġhil'
pahuñchā hī diyā bārgah-e-pīr-e-muġhāñ tak
jalwon ki tere lae koi tab kahan tak
har shai mein numayan hain nazar jae jahan tak
milne ko to mil jaen abhi donon jahan tak
kam-baKHt dua aa bhi chuke dil se zaban tak
hum KHak-nashinon ki rasai hai wahan tak
pahunche na farishton ka jahan wahm-o-guman tak
pahuncha diya saqi ne dar-e-pir-e-mughan tak
aur sair-e-KHarabaat ne kya jaane kahan tak
kaba mein kalisa mein use DhunD ke aaKHir
had ye hai ki aa pahunche hain ab ku-e-butan tak
ulfat bhi hai kya chiz shikayat ki koi baat
uTThi bhi agar dil se to aai na zaban tak
hone ko sahar aai hai KHamosh ho ai shama
tu sozish-e-parwana pe roegi kahan tak
zahid ke liye qasr bhi huren bhi jinan bhi
lekin nahin rindon ke liye ek dukan tak
wada to wafa ho ki na ho ye hai shikayat
lab se kabhi nikli nahin taskin ko han tak
kya kya na hansi abru-o-mizhgan ne uDai
pahunchi jo kabhi baat zara tegh-o-sinan tak
nur-e-sahar-o-rang-e-sahar par nahin mauquf
dushman hai shab-e-wasl mein aawaz-e-azan tak
jadu hai adaon mein nigahon mein karishme
aison se bachae koi iman kahan tak
saqi ka karam dekh ki ek aan mein 'shaghil'
pahuncha hi diya bargah-e-pir-e-mughan tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.