jalwon se na aankh jhapakti hai jalwon ko na aankh tarasti hai
jalwon se na aankh jhapakti hai jalwon ko na aankh tarasti hai
Ijtiba Rizvi
MORE BYIjtiba Rizvi
jalvoñ se na aañkh jhapaktī hai jalvoñ ko na aañkh tarastī hai
ham ne vo piyāla pī hī liyā jis meñ na ḳhumār na mastī hai
kuchh lamhe haiñ jin lamhoñ meñ ehsās use chhū letā hai
aalam se udhar jo aalam hai hastī se udhar jo hastī hai
hai ruuh kī hālat kundan kī jitnā hī tapegī nikhregī
ġham ek kasauTī hai jis par ye fitrat ham ko kastī hai
hikmat kī bhī khetī ġharq huī hairat kā bhī sahrā Duub chalā
ghanghor ghaTā hai yaad un kī kyā TuuT ke dil pe barastī hai
har sair meñ thī ik baat magar kyā ab ke safar kī baat kaheñ
ham us bastī meñ jā nikle hastī se pare jo bastī hai
is dil se ho kar dil se udhar ik bastī hai jis bastī meñ
har jins kī nāyābī hai magar ik jins-e-tamāshā sastī hai
jalwon se na aankh jhapakti hai jalwon ko na aankh tarasti hai
hum ne wo piyala pi hi liya jis mein na KHumar na masti hai
kuchh lamhe hain jin lamhon mein ehsas use chhu leta hai
aalam se udhar jo aalam hai hasti se udhar jo hasti hai
hai ruh ki haalat kundan ki jitna hi tapegi nikhregi
gham ek kasauTi hai jis par ye fitrat hum ko kasti hai
hikmat ki bhi kheti gharq hui hairat ka bhi sahra Dub chala
ghanghor ghaTa hai yaad un ki kya TuT ke dil pe barasti hai
har sair mein thi ek baat magar kya ab ke safar ki baat kahen
hum us basti mein ja nikle hasti se pare jo basti hai
is dil se ho kar dil se udhar ek basti hai jis basti mein
har jins ki nayabi hai magar ek jins-e-tamasha sasti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.