jam gai aankh mein tabir pighalti hi nahin
jam ga.ī aañkh meñ ta.abīr pighaltī hī nahīñ
chāñdnī raat mire ḳhvāb meñ Dhaltī hī nahīñ
pahle yuuñ thā mirī āñkheñ nahīñ pathrā.ī thiiñ
ab to aañsū kī koī buuñd nikaltī hī nahīñ
ḳhālī āñkhoñ se takā kartī huuñ āñgan apnā
dopahar hai jo tirī yaad kī Dhaltī hī nahīñ
jaane kis ḳhauf se sahmī sī hai bachchī merī
ab khilaune bhī dikhāo to machaltī hī nahīñ
ishq kā rog lagā baiThe the ik roz 'surūr'
zindagī ab to sañbhāle se sañbhaltī hī nahīñ
jam gai aankh mein tabir pighalti hi nahin
chandni raat mere KHwab mein Dhalti hi nahin
pahle yun tha meri aankhen nahin pathrai thin
ab to aansu ki koi bund nikalti hi nahin
KHali aankhon se taka karti hun aangan apna
dopahar hai jo teri yaad ki Dhalti hi nahin
jaane kis KHauf se sahmi si hai bachchi meri
ab khilaune bhi dikhao to machalti hi nahin
ishq ka rog laga baiThe the ek roz 'surur'
zindagi ab to sanbhaale se sanbhalti hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.