jam gai barf si ye pighalti nahin
jam ga.ī barf sī ye pighaltī nahīñ
aarzū sach ke qālib meñ Dhaltī nahīñ
ḳhvāb apnī jagah sub.h apnī jagah
shab ye lekin kisī samt chaltī nahīñ
aadmī kī havas ne ujāḌā jise
zindagī us chaman meñ Tahaltī nahīñ
laḌkhaḌāte qadam ḳhud sañbhāleñ yahāñ
ziist hamvār rāhoñ pe chaltī nahīñ
merī āñkhoñ se Tapkā na hotā lahū
to kahānī tirī bhī nikaltī nahīñ
ab Darātā nahīñ koī bhī hādisa
siine meñ dhaḌkaneñ bhī machaltī nahīñ
dostī bhī ghulī ho agar chaa.e meñ
vaqt ruk jaatā hai shaam Dhaltī nahīñ
jam gai barf si ye pighalti nahin
aarzu sach ke qalib mein Dhalti nahin
KHwab apni jagah subh apni jagah
shab ye lekin kisi samt chalti nahin
aadmi ki hawas ne ujaDa jise
zindagi us chaman mein Tahalti nahin
laDkhaDate qadam KHud sanbhaalen yahan
zist hamwar rahon pe chalti nahin
meri aankhon se Tapka na hota lahu
to kahani teri bhi nikalti nahin
ab Daraata nahin koi bhi hadisa
sine mein dhaDkanen bhi machalti nahin
dosti bhi ghuli ho agar chae mein
waqt ruk jata hai sham Dhalti nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.