jamal-e-husn-e-daraKHshan harim-e-jaan mein nahin
jamal-e-husn-e-daraKHshan harim-e-jaan mein nahin
Rajendr Bahadur Mauj
MORE BYRajendr Bahadur Mauj
jamāl-e-husn-e-daraḳhshāñ harīm-e-jāñ meñ nahīñ
vo sajde DhūñDh rahā huuñ jo āstāñ meñ nahīñ
koī nizām-e-asar-āfrīñ fuġhāñ meñ nahīñ
charāġh-e-rāh kā saaya bhī kārvāñ meñ nahīñ
agar vo sīna-e-pur-dāġh-e-āshiqāñ meñ nahīñ
to phir kahāñ haiñ vo taare jo āsmāñ meñ nahīñ
Tapak rahī hai har ik tinke se shuā-e-jamāl
asiir koī tajallī to āshiyāñ meñ nahīñ
fanā ho yā ho baqā haiñ ye sab fareb-e-nazar
vo kyā bahār meñ hai jo mirī ḳhizāñ meñ nahīñ
shahīd-e-tīr-e-mohabbat nahīñ hai dil shāyad
vo surḳhiyāñ mire mizhgān-e-ḳhūñ-fishāñ meñ nahīñ
jo vaqt mujh pe mohabbat meñ aa paḌā hai na pūchh
sharīk-e-dil bhī mirā mere imtihāñ meñ nahīñ
falak pe chhā.īñ haiñ kāfir ghaTā.eñ sāvan kī
magar baġhair tere lutf gulsitāñ meñ nahīñ
huuñ aaj fikr kā ik bahr-e-be-karāñ ai 'mauj'
vo 'mauj' hī nahīñ betāb jo jahāñ meñ nahīñ
jamal-e-husn-e-daraKHshan harim-e-jaan mein nahin
wo sajde DhunDh raha hun jo aastan mein nahin
koi nizam-e-asar-afrin fughan mein nahin
charagh-e-rah ka saya bhi karwan mein nahin
agar wo sina-e-pur-dagh-e-ashiqan mein nahin
to phir kahan hain wo tare jo aasman mein nahin
Tapak rahi hai har ek tinke se shua-e-jamal
asir koi tajalli to aashiyan mein nahin
fana ho ya ho baqa hain ye sab fareb-e-nazar
wo kya bahaar mein hai jo meri KHizan mein nahin
shahid-e-tir-e-mohabbat nahin hai dil shayad
wo surKHiyan mere mizhgan-e-KHun-fishan mein nahin
jo waqt mujh pe mohabbat mein aa paDa hai na puchh
sharik-e-dil bhi mera mere imtihan mein nahin
falak pe chhain hain kafir ghaTaen sawan ki
magar baghair tere lutf gulsitan mein nahin
hun aaj fikr ka ek bahr-e-be-karan ai 'mauj'
wo 'mauj' hi nahin betab jo jahan mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.