jamal-e-yar aur us ka bayan mohabbat hai
jamāl-e-yār aur us kā bayāñ mohabbat hai
hasīn shaam kā dilkash samāñ mohabbat hai
hameñ gila hai ki tum ne hameñ nahīñ rokā
tumheñ ḳhabar thī ki ātish-fishāñ mohabbat hai
'amal na ho to yaqīñ kis tarah dilāoge
zabāñ se kitnā bhī kah lo ki haañ mohabbat hai
vo aur log haiñ jo dushmanī nibhāte haiñ
mire liye to ye saarā jahāñ mohabbat hai
hamāre gaañv kī barfīlī sard sub.hoñ meñ
sunā.ī detī hai jo vo azaañ mohabbat hai
vafā kī āḳhirī tamsīl karbalā hai dost
sar-e-husain ba-nok-e-sināñ mohabbat hai
jamal-e-yar aur us ka bayan mohabbat hai
hasin sham ka dilkash saman mohabbat hai
hamein gila hai ki tum ne hamein nahin roka
tumhein KHabar thi ki aatish-fishan mohabbat hai
'amal na ho to yaqin kis tarah dilaoge
zaban se kitna bhi kah lo ki han mohabbat hai
wo aur log hain jo dushmani nibhate hain
mere liye to ye sara jahan mohabbat hai
hamare ganw ki barfili sard subhon mein
sunai deti hai jo wo azan mohabbat hai
wafa ki aaKHiri tamsil karbala hai dost
sar-e-husain ba-nok-e-sinan mohabbat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.