jamal-e-yar ke dam se ye moajiza hua tha
jamāl-e-yār ke dam se ye mo.ajiza huā thā
har ek samt thī raushan diyā bujhā huā thā
vo yaanī jismoñ meñ rūhoñ ke muntaqil kī ghaḌī
hamāre vāste hairat kā dar khulā huā thā
kahāñ the ahl-e-ḳhirad us ghaḌī batā.eñ mujhe
jab āsmān zamīñ ke liye jhukā huā thā
barahna ḳhvāhisheñ jismoñ pe oḌh kar ham log
samajhte the ki muqaddar meñ ye likhā huā thā
zarūratoñ ne muqayyad hī kar liyā varna
huzūr-e-ishq meñ sar maiñ ne ḳham kiyā huā thā
mirā mizāj to sailāb kī tarah thā magar
ye aur baat tire sāmne rukā huā thā
tujhe ḳhabar nahīñ tere libās meñ 'iqrār'
ġhurūr-e-zāt kā paivand bhī lagā huā thā
jamal-e-yar ke dam se ye moajiza hua tha
har ek samt thi raushan diya bujha hua tha
wo yani jismon mein ruhon ke muntaqil ki ghaDi
hamare waste hairat ka dar khula hua tha
kahan the ahl-e-KHirad us ghaDi bataen mujhe
jab aasman zamin ke liye jhuka hua tha
barahna KHwahishen jismon pe oDh kar hum log
samajhte the ki muqaddar mein ye likha hua tha
zaruraton ne muqayyad hi kar liya warna
huzur-e-ishq mein sar main ne KHam kiya hua tha
mera mizaj to sailab ki tarah tha magar
ye aur baat tere samne ruka hua tha
tujhe KHabar nahin tere libas mein 'iqrar'
ghurur-e-zat ka paiwand bhi laga hua tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.