jamal-e-yar ko taswir karne wale the
jamāl-e-yār ko tasvīr karne vaale the
ham ek ḳhvāb kī tā'bīr karne vaale the
shab-e-visāl vo lamhe gañvā diye ham ne
jo dard-e-hijr ko iksīr karne vaale the
kahīñ se TuuT gayā silsila ḳhayāloñ kā
ka.ī mahal abhī tā'mīr karne vaale the
aur ek din mujhe us shahr se nikalnā paḌā
jahāñ sabhī mirī tauqīr karne vaale the
hamārī dar-badarī par kise ta'ajjub hai
ham aise log hī taqsīr karne vaale the
jo lamhe biit ga.e haiñ tirī mohabbat meñ
vo lauh-e-vaqt pe tahrīr karne vaale the
charāġh le ke unheñ DhūñDhiye zamāne meñ
jo log 'ishq kī tauqīr karne vaale the
vahī charāġh vafā kā bujhā ga.e 'āsif'
jo shahr-e-ḳhvāb kī tā'mīr karne vaale the
jamal-e-yar ko taswir karne wale the
hum ek KHwab ki ta'bir karne wale the
shab-e-visal wo lamhe ganwa diye hum ne
jo dard-e-hijr ko iksir karne wale the
kahin se TuT gaya silsila KHayalon ka
kai mahal abhi ta'mir karne wale the
aur ek din mujhe us shahr se nikalna paDa
jahan sabhi meri tauqir karne wale the
hamari dar-badari par kise ta'ajjub hai
hum aise log hi taqsir karne wale the
jo lamhe bit gae hain teri mohabbat mein
wo lauh-e-waqt pe tahrir karne wale the
charagh le ke unhen DhunDhiye zamane mein
jo log 'ishq ki tauqir karne wale the
wahi charagh wafa ka bujha gae 'asif'
jo shahr-e-KHwab ki ta'mir karne wale the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.