harf-o-KHayal-o-tazgi sheri jamal aur shai
harf-o-ḳhayāl-o-tāzgī she'rī jamāl aur shai
goyā vo husn aur hai us kī sañbhāl aur shai
dekh ye tū nahīñ hai to dekh ye maiñ nahīñ huuñ maiñ
maut alag mu'āmla ain-e-visāl aur shai
yā'nī faqīr ḳhāmushī yā'nī gadā.ī shor hai
yā'nī ye raqs kuchh nahīñ yā'nī dhamāl aur shai
jo ne dikhā.ī de sake us par yaqīn kījiye
ain-e-jamāl aur hai aks-e-jamāl aur shai
tū ne jo pā liyā vo kyā mujh se jo kho gayā vo kyā
terā 'urūj kuchh nahīñ merā zavāl aur shai
yā'nī ki 'ishq kījiye yā'nī ye 'umr kuchh nahīñ
yā'nī ki shauq aur shai ahl-o-ayāl aur shai
dekh junūn-e-ḳhabt meñ farq bahut hai dostā
'ishq kī aag aur hai terā ubaal aur shai
dil meñ ubhar chukā hai jo us kā ġhurūb hī nahīñ
yā'nī ye sharq aur hai goyā shumāl aur shai
harf-o-KHayal-o-tazgi she'ri jamal aur shai
goya wo husn aur hai us ki sanbhaal aur shai
dekh ye tu nahin hai to dekh ye main nahin hun main
maut alag mu'amla ain-e-visal aur shai
ya'ni faqir KHamushi ya'ni gadai shor hai
ya'ni ye raqs kuchh nahin ya'ni dhamal aur shai
jo ne dikhai de sake us par yaqin kijiye
ain-e-jamal aur hai aks-e-jamal aur shai
tu ne jo pa liya wo kya mujh se jo kho gaya wo kya
tera 'uruj kuchh nahin mera zawal aur shai
ya'ni ki 'ishq kijiye ya'ni ye 'umr kuchh nahin
ya'ni ki shauq aur shai ahl-o-ayal aur shai
dekh junun-e-KHabt mein farq bahut hai dosta
'ishq ki aag aur hai tera ubaal aur shai
dil mein ubhar chuka hai jo us ka ghurub hi nahin
ya'ni ye sharq aur hai goya shumal aur shai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.