jamal shoKH-nazar ba-sabaat zinda hai
jamāl shoḳh-nazar bā-sabāt zinda hai
mirī ragoñ meñ abhī kā.enāt zinda hai
burā na maan mohabbat meñ kah diyā maiñ ne
mujhe lagā thā abhī iltifāt zinda hai
tumhārī yaad kā hujra ujaḌ gayā phir bhī
shab-e-visāl kī ik vārdāt zinda hai
unheñ dulārne vaale nahīñ rahe lekin
vo mai-kada vo hasīñ chāñd-rāt zinda hai
bhale ik 'umr na zinda rahe banī-ādam
ġham-e-hayāt magar tā-hayāt zinda hai
jamal shoKH-nazar ba-sabaat zinda hai
meri ragon mein abhi kaenat zinda hai
bura na man mohabbat mein kah diya main ne
mujhe laga tha abhi iltifat zinda hai
tumhaari yaad ka hujra ujaD gaya phir bhi
shab-e-visal ki ek wardat zinda hai
unhen dularne wale nahin rahe lekin
wo mai-kada wo hasin chand-raat zinda hai
bhale ek 'umr na zinda rahe bani-adam
gham-e-hayat magar ta-hayat zinda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.